Tuesday, July 15, 2014

Pehchan

Din saal gujarte chale jaate hain
hum yuhin chalte chale jate hain
na raah ka thikana hai na khud ka
bas samay ke saath yun hi
badalte chale jaate hain...

Kisse aur ko kya pehchaane,
ab to khud ko pehchanna mushkil hai
bas yun hee aaine mein apne aks ko,
khojte chale jaate hain...

Din saal gujarte chale jaate hain
hum yuhin chalte chale jate hain...

Tuesday, January 1, 2013

Aansu ka ek katra


Sau crore ki aankhon mein hai
aaj Aansu ka ek katra

Chingari bankar nikla dil se
Aansu ka ek katra

Lab ne jo kaha nae
keh gaya wo Aansu ka ek katra

Takdeer Hai badalne chala desh ki
aaj Aansu ka ek katra

Hazaron ko hai tabah kia,
Hai jaane kitno ko jalaya,
tha barson se seene mein daba
par jwala bana aaj Aansu ka ek katra...

Monday, July 9, 2012

Unconventional Journey

Life in an IT Sector,
            Is nothing but a beautiful Mirage.
It’s a world of dream and fantasy,
            Where everything seems so real
Until and unless,
You are actually there…


It’s another world, it’s another life,
            It’s like you are in an adventurous ride…
People can experience new horizons,
            The opportunities, the promises,
Everything that can make your life,
            Worth appreciating in status line…


Change the perception,
            Flip the coin
And here you are,
            Living a lonely life,
Heading towards
            A monotonous trail...


People usually ask,
            "Where you see yourself, 5 years after"?
but take some time,
            Think for a while,
then ask this question to yourself,
            Is what you are doing today,
nearly matches what you thought,
            five years ago?


Very often a thought,
            crosses my mind,
Am i really doing justice,
            to my precious time.


So here is my advice,
            to all of you guys,
Never fear to Explore,
            Never fear to change,
It’s our journey that matters,
            Destination can be the same!

Friday, April 6, 2012

Walk of life


The path of life
           Show all colors,
It’s filled with light
           Sometimes filled with tears
It makes us proud
           And sometimes makes us shout
But in all together
           It’s an adventurous trek
Where trail is difficult
          But surrounding is great…


I am walking in the path,
          I never thought of walking…
I am living in a dream,
         Which was not even a dream before…
People who mattered previously,
         Are mere shadows now…
But who dint exist yesterday
         Is inseparable now…


When I look back,
          Every experience seems worth experiencing
As it has mould me into,
          A person I am now…


Who I am?
          It is the product of the past
With new hopes for the future,
         And an enchanted heart…

Tuesday, August 9, 2011

Zindagi kya hai....




Dil mein basi teri yaad hai zindagi

Aankhon mein tera intezaar hai Zindagi


Hoton par thami khamoshi hai Zindagi


Teri yaadon ko sanjone ki chaah hai zindagi


Teri hasee mein apne aansu chupana hai Zindagi


Phir bhi haste hue zindagi ko apnana hai Zindagi

Saturday, December 18, 2010

......... Anjaan Duniya .......

Duniya ki kuch uljhe,


Kuch suljhe baatein


Dum todte kai khwab,


udaan leti kai khwaishein


Pal bhar mein badalte sapne,


aur naya roop lete rishtey


Dekha hai ye sab meine,


Par hun anjaan ab bhi in sab se....

Saturday, November 13, 2010


Chandani raton mein
halki barsaton mein
gulabi thand mein
hum tum ho sang mein

Madhan jalte chiragon mein
phoolon se mehki hawayon mein
simat jae ye zindagi
jaise simti hun mein
aaj tere bahon mein

Ankhein ho ankhon mein
vishwaas ho baaton mein
zannat ban jaye ye zindagi
jo tu ho mere saath mein

Dil ke dhadkne mein
saanson ke thamne mein
tham jae ye zindagi mere
jo tu na ho mere saath mein

Saturday, September 11, 2010

Betabi

Ek bechaini se hai sanson mein,

Kuch armaan hai jagte aankhon mein,

Jaana hai abhi to bas naam tera,

Phir kyun dhadak raha hai ye dil mera.



Badne lagi hain dil ki dhadkana,

Aur ghabra raha hai ye mann mera,

Aane wala hai waqt tujhse milne ka,

Keh raha hai ye dil mera....

Friday, August 27, 2010

Intezaar

Meri aankhon ko hai

Bas tere aane ka intezaar

Meri dhadkan ko hai

Bas tere hee aahat ka intezaar

Thak gaye hun mein akele

iss duniya se ladte-ladte

iseliye ab mujhe hai bas

Tere bahon mein pighalne ka intezaar.

Friday, July 30, 2010

...............................


Logon ne socha tod denge mujhe

yun saath dekar tanha chod denge mujhe

na tha ehsaas unko iss baat ka ki

aasaa nae tha yun mujhko rulana

mere dukh mein khud muskurana.


dard to hua tha dil mein bahut

par jhuki thi na ruki thi mein

aaj bhi yun jee rae hun tanha

jaise kabhie tujhse na mile the mein.


hanse hai aaj bhi mere hoton par

chamak hai aaj bhi meri aankhon mein

jee sakte hun yun hee akele mein

na kisse ki yaad hai na kissi ki jarurat.