Saturday, December 18, 2010

......... Anjaan Duniya .......

Duniya ki kuch uljhe,


Kuch suljhe baatein


Dum todte kai khwab,


udaan leti kai khwaishein


Pal bhar mein badalte sapne,


aur naya roop lete rishtey


Dekha hai ye sab meine,


Par hun anjaan ab bhi in sab se....

Saturday, November 13, 2010


Chandani raton mein
halki barsaton mein
gulabi thand mein
hum tum ho sang mein

Madhan jalte chiragon mein
phoolon se mehki hawayon mein
simat jae ye zindagi
jaise simti hun mein
aaj tere bahon mein

Ankhein ho ankhon mein
vishwaas ho baaton mein
zannat ban jaye ye zindagi
jo tu ho mere saath mein

Dil ke dhadkne mein
saanson ke thamne mein
tham jae ye zindagi mere
jo tu na ho mere saath mein

Saturday, September 11, 2010

Betabi

Ek bechaini se hai sanson mein,

Kuch armaan hai jagte aankhon mein,

Jaana hai abhi to bas naam tera,

Phir kyun dhadak raha hai ye dil mera.



Badne lagi hain dil ki dhadkana,

Aur ghabra raha hai ye mann mera,

Aane wala hai waqt tujhse milne ka,

Keh raha hai ye dil mera....

Friday, August 27, 2010

Intezaar

Meri aankhon ko hai

Bas tere aane ka intezaar

Meri dhadkan ko hai

Bas tere hee aahat ka intezaar

Thak gaye hun mein akele

iss duniya se ladte-ladte

iseliye ab mujhe hai bas

Tere bahon mein pighalne ka intezaar.

Friday, July 30, 2010

...............................


Logon ne socha tod denge mujhe

yun saath dekar tanha chod denge mujhe

na tha ehsaas unko iss baat ka ki

aasaa nae tha yun mujhko rulana

mere dukh mein khud muskurana.


dard to hua tha dil mein bahut

par jhuki thi na ruki thi mein

aaj bhi yun jee rae hun tanha

jaise kabhie tujhse na mile the mein.


hanse hai aaj bhi mere hoton par

chamak hai aaj bhi meri aankhon mein

jee sakte hun yun hee akele mein

na kisse ki yaad hai na kissi ki jarurat.

Naye aas

hum to kab ke patyhar ban chuke the

phir kyun aaj ye hulchal sunae de

chod de the humne jeene ki har aas

phir kyun aaj ek naye kiran dekhae de


lamha lamha tadap kar sameta tha apne aap ko

phir kyun aaj mein pighalte dekhaye de

na the koi raha jaane ki kahin bhi

phir kyun aaj mein chalte dekhaye de...!!!

Thursday, July 29, 2010

TERI DOSTI


KUCH HASEEN PAL
KUCH HASEEN BAATEIN
KUCH KADMO KA WO SAATH
HAIN WO MEETHE YAADEIN

MANA HAI TUJHE DOST MEINE
HUN MEIN SADA SAATH TERE
TU CHAHE KARE NA KARE BAAT MUJHSE
RAHEGA SADA ISS DIL MEIN MERE

YEH DOSTI HAI TERE JO THAME HAI MUJHE
TERA HEE HAI WO SAATH JO DETA HAI HIMMAT MUJHE
TU DUR RAHE YA PASS, TERA EHSAAS HAI MERE SAATH
RAHUNGE MEIN TERE DOST HAMESHA
RAKHNA YE BAAT YAAD!!

jee na sake

Aankhon se aansu nikal na sake
Unse jaate hue hum kuch keh na sake.
chod gaye wo yun tanha humein
ki zinda to the hum par jee na sake.

chaha to tha ki na jaane denge unhe
rakhenge sanjo ke humesha unhe.
par na wo ruk sake na hum rok sake
reh gaye tanha par kuch keh na sake.

kaha tha unhone humse jaate hue ki
"le jaunga mein apne saath
humare saare yaadein
na karunga yaad tujhe
na aaunga yaad tujhe
bhul jana mujhe aur meri yaadon ko
rehna sada khush agar ho sake"

chah humne bhi phir ki
mita dein unki saare yaadein
par chahte hue bhi mita na sake khud ko
isliye hum zinda to rahe par jee na sake

Friday, July 9, 2010

Mein hun, bas tere liye!!!


Kyun tere aahat se

    ye dil tham jata hai mera

Kyun tere muskurahat se

    dil ko sukoon aata hai bada

Kyun tere pareshaniyon se

    Pareshan hoti hun mein

Kyun tere shararaton se

    machal jati hun mein

Kyun teri tanhaeyon mein

    Shaamil hona chahti hun mein

Kyun tere liye apna

    sab kuch lutana chahti hun mein

Tu kyun nahi samajhta

    kya dil mein hai mere

Dhadkta hai mera dil

    Bas sanson se tere...

....Tu... Bas Tu.....

Zindagi hai meri tere sanson mein,
Jannat hai meri tere bahon mein.

Ab bas yehi hai ek chhoti se tamanna:
Tujhe dekh kar hee bane sab din mere
Tere aagosh mein katein sab raatein meri
Meri aankhon mein rahe sada chamakta tu
aur meri dhadkane lein bas naam tera
Teri baaton mein yun doob jaun mein
Tere khayalon mein yun kho jaun mein

ki dhunde koi bhi mujhko magar
meri jagah aae tu hee nazar...

Friday, June 11, 2010

Zindagi.. ek safar..!!

naye safar par, naye dagar par
rakhe the meine kadam
manjil thi samne, sapne the aankhon mein
tha naya josh, naye umang.

uss naye subah ki naye roshni mein
the mein yun magan
ki chalti gaye rahon par
bina soche hurdam
rukh badla zindagi ne
phir manzil badle, rahein badle
thi na mujhe koi khabar
ki ja rahe the kis aur mere ye kadam

Naye sapno mein yun dhali,
jaise yehi the mere liye.
soche na pal bhar bhi,
bas banaa liya unhe apna.
na tha koi shikhwa koi gum
kyunki mana tha unhe apna
apne se badhkar sanam

bhul gayi thi ki iss zindagi ki raahein
yun aasan kab hoti hai
aaya ek sailaab phir,
aur chod gaya tanha mujhe
inn anjaani raahon mein

tut gaya dil, bikhar gaye mein
ab na tha koi armaan na koi umang
bas ye aankhen the meri nam.

tamanna na the tab jeene ki
murjhaya tha mera har pal
phir kaha zindagi ne
"aao phir dikhaun tumhe kuch naye rang"

Haath thama samay ka meine
diya phir zindagi ne saath

aaj phir ek naya safar hai, naye dagar hai
manjil hai saamne, sapne hain aankhon mein
hai naya josh aur naye umang!!!!

Just a thought!!

Iss kadar bassa le tu mujhe apne aankhon mein
ki jab bhi dekhun mein aaina(mirror)
Tera hee, bas tera hee aks(reflection) nazar aaye!!!

Iss kadar chupa le tu mujhe apne seene(chest) mein
ki sharma jaaye wo baadal bhi
jo lete hain chand ko
har waqt apne aagosh mein!!!

Wednesday, June 2, 2010

......Ek Ehsaas......


Maanga tha tujhe meine apne har ek duaon mein

Chaha tha ki hamesha ek ho hum phir kitne he rode hon aage rahon mein.

Kabhie khwab mein bhi na socha tha ki hamari raahein yun juda honge

tera deedar to dur tere aawaz se bhi yun dooriyan honge.

Abhi to udaan bhari thi humne apne ek kshitiz ki taraf

Abhi to mila tha saath tera lagi ye Zindagi khoobsurat bahut.

Phir kyun pal bhar mein hee tut gaye mere ye saare sapne

phir kyun badal gaye itne jaldi yun kshitij apne.

Mushkil to bahut hai tujhe bhool pana

par utna hee mushkil hai ab tujhe yaad rakhna

In ankhon se na ek bhi ashq mein ab girne dungi

Dil mein to rahegi ek kasak se hamesha

par lawzon mein ye dard kabhie na mein aane dungi

My First Lines!!

Iss dil ke dhadakne mein aaj ek tadap mehsus ki hai meine,

Tujhse kuch kehne mein aaj ek jhijhak mehsus ki hai meine

Tu dur hokar bhi mere sabse kareeb tha

phir kyun aaj tujhse yeh doorie mehsus ki hai meine.