Tuesday, January 1, 2013

Aansu ka ek katra


Sau crore ki aankhon mein hai
aaj Aansu ka ek katra

Chingari bankar nikla dil se
Aansu ka ek katra

Lab ne jo kaha nae
keh gaya wo Aansu ka ek katra

Takdeer Hai badalne chala desh ki
aaj Aansu ka ek katra

Hazaron ko hai tabah kia,
Hai jaane kitno ko jalaya,
tha barson se seene mein daba
par jwala bana aaj Aansu ka ek katra...